ap ne aca likha and umeed ke aur zaida acha likhay gi. story line achi thi magr…………plot itna mazboot ni tha ke sans rok ker pehnay per majboor ker dein in fact mein ne tu under se itnay pages skip bi kiye ke muje lga koi qabil e zikr waqia ni hu ga story mein..ye khtay huay mazrat hua hun lakin mere hyaal mein schi tanqeed ek writer ka huq hai, apki story achi thi lakin bhtt se gaps they. first of all ap ne nayab ku jesa start mein present kia tha waisa end tk ni dekhnay ku mila. happy ending tu hai lakin uss ke azeem azaim ju start mein wo apnay baba ke sath share kerti thi mera khyaal hai end pe bi show honay chaiye they. secondly, i don’t like the fact ke sb ke sb like almost all male characters in this story except her brother fell in love with her..like aosi bi kia andhi ai ke story mein male lead aur second lead ke sath sath third and fourth lead ki bi zroort per gai. i am talking about Umer afandi and Jawad alvi. trust me agr ap unku as a Bara Bhai show kerti just tu characters ke sath insaaf hota ..muje smjh ni a ri ke teena se engagement ke baad meena ku q dekh rha tha aisay jawad ek number ka fazool character bna dia ek second mein ap ne halnkay un ke parents ku aur teena ku khuda jawad bhtt psnd aya tha tu pjir ye fazool ka addition q aur agr hu bi gia aisa kuj tu agau q ni kuj btaya aisey hi kese jawad maan gia fawad and nayab ki shadi ke liye koi un ke hyalat bi tu pta chltay na…and umer afandi when first time i read his name fathers wali feelings ai thi ju eventually bray bhai wali lgnay lug gai n even meena ku khud bi yehi lgta tha and ye lein ji wo bi nayab ke ishq ka roug lgai beithay hain dill se aur khairt ki baat hai end pe dill mein apni wife ke liye itni shadeeeeed nafrat (baqol ap ke) hoay ke bawjood kuj ni kha koi action ni liya aur liking wali baat dill mein bi chapa li wo bi begair kisi peshmani ke aisa ni lgta ke apni wife ke sath dhoka ker rhay hai and lalrukh ke ju bi andesay aur shuq they sb sch niklay?…..wahhhh..ali aur fawad ki tu chaly feelings smjhi ja skti hai lakin fawad per focus bhtt kum tha jese uss ka maqsd hi sirf sch btana tha nayab ku and end pe shadi kerni thi bss aur jis trah sara focus Ali pe tha by god yehi lug rha tha ke wo hi Male lead hai story mein but ju uss ke sath hua end pe OUffffffffffffffff schi mein bhtt dukh hua ..lalarukh ki mein baat ni kerun gi q ke apne ussay negative character dena tha so uss ne ju bi kha wo apki story ku agay brhanay ke loye tha and allah hu akbar end pe rah e rast per bi a gai wo……aur rhi baat sikandr ki tu uss ki wife kidr hai/ i mean uss ne bhair ja ker shadi kki thi na lakin ab tu na wife ka pta na kuj aur and sijandar sahib pakistan bi mustaqil shift hu gai…wife ku bi chor dia kia jese maa bap ku chora tha? ajeeb ni lug rha aisey perh ker ? mje tu bhtt lga…aur shidt se mehsoos hua ke characters ku insaaf ni mila…ap ke story mein sirf nayab ni thi baqi bi bhttt characters they unki background stories bi thi un pe agr focus ni bi kerna tha tu itna be rubt qism ka relation tu na bnati..aur allah ke rehm se ali. umer and palwasha ka teesra bhai bi tha na koi,,,shaid asif ? un ka tazkira tuk ni hua? muje tu naam bi bhool gia. aur agr nayab main character thi hi yaani agr uss ke revolve hi sari story chalne hai tu phir puri nayab per fous hona chaiye tha na.. accident ke baad wo hasti muskrati shoh se unchay iradu wali lrki tu dekhnay tk ku ni mili. wo yaadshat kho bethi thi khud ku tu ni na tu phir wo sb kha gia uss ki plannings uss ka khwab? uss ki sirf mazloom side hi tu ni thi na aur bi bhtt plus points they. n khudara jitnay nervous breakdown uss ku huay hai bch kese gai wo? bulkay pehli baat accient mein hi kese bch gai wo tu driving seat pe thi na? bulkay el mint sb accident hua tha tb tu nayab pichli seat pe peri mili thi na..driving seat pe kb shift hu gai…allah can’t believe ke mein ne apni ama jaaann ki itni dant iss novel ku perhnay ke liye suni…im so sorry to say but ab lug rha iss novel mein perhnay ke liye kuj ni tha itni berubtgi mein ne aj tk ni perhi khi. I know bhtt rude sound ker ri hu..n ye bi kha ja skta hai ke muje kisi ne majboor tu ni kia tha na novel perhne pe na perti agr psnd ni tha aya tu ,… mgr ek dfa koi khani shuru ker lun tu uss ku beech mein ni chor skti writer aur characters ke sath na insaafi haibhtt bri and ap ku ye sb iss liye bta rhi hu ke ap ke pass likjnay ka talent hai n muje umeed hai ke iss tanqeed ku ap chahay positively le ya negatively ap ka next novel ek next step per hu ga..ab tu ye line likh likh ker khud bore feel ker ri hun but khudara apnay characters ku ignore ni kere un ke sath insaaf kere ainway hi ek hi suli per na chra dei sb ku…perhnay ka shukria

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *